Today here we are sharing All Famous most superhit Dialogues punchlines of Shah Rukh Khan’s (Romance King). Shah Rukh Khan’s is the superstar of Bollywood and famous for his romance, in Bollywood romance means shah rukh khan and shah rukh khan means romance, he Known as the ‘King of Romance’.
Shah Rukh Khan started his career on television with shows like ‘Circus’ and ‘Fauji’. Now he is the invincible superstar of Bollywood. With millions of fan following across the world, the Khan who redefined romance in the world of Indian cinema.
Shah Rukh Khan won the most filmfare awards for best actors, he won 8 awards for their conduct as a lead actor in the movies.
So here we are sharing some famous superhit dialogues of superstar Shah rukh khan
Shah Rukh khan Dialogues in – Jab Tak Hai Jaan
1. Hamari line mein kismat sirf ek baar dokha deti hai
2. Done done London karo ji
3. Zindagi toh har roz jaan leti hai … bomb toh sirf ek baar lega
4. Baarishon mein bedhadak tere nachne se … baat baat pe bewajah tere roothne se … choti choti teri bachkani badmashiyon se … mohabbat karoonga main … jab tak hai jaan, jab tak hai jaan
5. Teri aankhon ki namkeen mastiyan … teri hasi ki beparwah gustakhiyan … teri zulfon ki lehrati angdaiyan … nahi bhoolunga main … jab tak hai jaan, jab tak hai jaan
6. Tera haath se haath chodna … tera saayon ka rukh modna … tera palat ke phir na dekhna … nahin maaf karoonga main … jab tak hai jaan, jab tak hai jaan
7. Tere jhoothe kasme vaadon se … tere jalte sulagte khwabon se … teri beraham duaon se … nafrat karoonga main … jab tak hai jaan, jab tak hai jaan
8. Tumhari yeh hasi, yeh masti, yeh gaaliyan agar bandh ho gayi na … toh is duniya ka bahut nuksaan hoga
Shah Rukh khan Dialogues in – Chennai Express
1. Don’t underestimate the power of a common man
Shah Rukh khan Dialogues in – Raees
1. Joh dhande ke liye sahi woh sahi … joh dhande ke liye galat woh galat … isse zyada kabhi socha nahi
2. Koi dhanda chota nahi hota aur dhande se bada koi dharam nahi hota
3. Baniye ka dimaag … miya bhai ki daring
4. Gujarat ki hawa mein vyapar hai saheb … meri saans toh rok loge … lekin is hawa ko kaise rokoge
5. Saboot le aaiye … le jaiye … Raees hazir hai
6. Din aur raat logon ke hote honge … sheron ka zamana hota hai
7. Battery nahi bolneka!
Shah Rukh khan Dialogues in – Baadshah
1. Kabhi kabhi dil jodne ke liye dil todna padta hai … aur dil todkar jodne waale ko … pata nahi kya kehte hai
2. Jinki zindagi choti hoti hai … unhe bade bade vaade nahi karne chahiye
Shah Rukh khan Dialogues in – Mohabbatein
1. Duniya mein kitni hai nafratein … phir bhi dilon mein hai chahatein … mar bhi jaaye pyar waale … mitt bhi jaaye yaar waale … zinda rehti unki mohabbatein
2. Main aaj bhi usse utni hi mohabbat karta hoon … aur is liye nahi ki koi aur nahi mili … par is liye ki usse mohabbat karne se fursat hi nahi milti
3. Mohabbat bhi zindagi ki tarah hoti hai … har mod aasaan nahi hota, har mod par khushi nahi hoti … par jab hum zindagi ka saath nahi chhodte … phir mohabbat ka saath kyun chhodein
4. Mohabbat mein shartein nahi hoti … toh afsoos bhi nahi hona chahiye
5. Maine aaj tak sirf ek hi ladki se mohabbat ki hai … aur zindagi bhar sirf us hi se karta rahoonga
6. Aap zindagi ki har jung jeette chale aaye … par zindagi ke saare sahare haarte chale gaye
7. Mohabbat aur sangeet ka bahut gehra rishta hai … kyun ki dono ka janam dil se hota hai … aur dono ki kismat bhi dil ke kehne par nirbhar hai
8. Main yahan par surya ki roshni itni tezz kar doonga … ki woh aadmi joh pachaas saalon se surya ko ghoorta aa raha hai … us he bhi apni palkein jhukani hogi
9. Duniya mein kitni hai nafratein … phir bhi dilon mein hai chahatein … jao kehdo is jahan se, is zameen se, aasman se … rok na sakenge ab yeh mohabbatein
10. Main har din dua karta hoon ki mujh jaisi kismat kisi ki bhi na ho
Shah Rukh khan Dialogues in – Kabhi Khushi Kabhie Gham
1. Oh ji jhappiyan tak te theek hai … par pappiyan bhi marte rhende hai mainu
2. Dosti ke alava bhi kuch rishtey hote hai … kuch rishtey joh hum samajhte nahi … kuch rishtey joh hum samajhna nahi chahte … kuch rishtey jinka koi naam nahi hota, sirf ehsaas hota hai … kuch rishtey jinki koi deewar nahi hoti, sarhad nahi hoti … aaise rishtey joh dil ke rishtey hote hai, pyar ke rishtey hote hai, mohabbat ke rishtey hote hai
3. Zindagi mein agar kuch banna ho, kuch haasil karna ho, kuch jeetna ho … toh hamesha dil ki suno … aur agar dil bhi koi jawab na de toh aankhen band karke apni maa aur papa ka naam lo … phir dekhna har manzil paar kar jaoge, har mushkil aasaan ho jayegi … jeet tumhari hogi, sirf tumhari
4. Arre return shiturn karne hai toh khareedte vareedte kyun ho?
5. No drinking, no smoking … no der se aana aur yahan se jitna jaldi ho chale jaana
6. Subah subah shuru ho gayi Madonna
7. Maafi maange se koi chota bada nahi hota … aur joh maaf kar deta hai uska dil bahut bada hota hai
Shah Rukh khan Dialogues in – Devdas
1. Kaun kambakht bardaasht karne ko peeta hai … hum toh peete hai ki yahan par baith sake, tumhe dekh sake, tumhe bardaasht kar sake
2. Babuji ne kaha gaon chhod do … sab ne kaha Paro ko chhod do … Paro ne kaha sharab chhod do … aaj tumne keh diya haweli chhod do … ek din aayega jab woh kahenge, duniya hi chhod do
3. Apne hisse ki zindagi toh hum jee chuke Chunni babu, ab toh bus dhadkano ka lihaaz karte hai … kya kahen yeh duniya waalo ko joh, aakhri saans par bhi aitraaz karte hai
4. Dil ke chaalon ko koi shayari kahe toh parwah nahi … takleef toh tab hoti hai jab koi wah wah wah karta hai
5. Aurat maa hoti hai, bahen hoti hai, patni hoti hai, dost hoti hai … aur jab woh kuch nahi hoti, toh tawaif hoti hai
6. Itna guroor toh chaand ko bhi nahi hai
7. Ek baat hoti thi tab tum bahut yaad aati thi … (kab) … jab jab main saans leta tha tab tab
8. Kitni aasani se ginvah diya ki tumhe har pal meri yaad aati thi … lekin yeh nahi socha ki un palon mein beetta toh main hi tha … diya tum jalati thi … par jalta toh main hi tha
Shah Rukh khan Dialogues in – Main Hoon Na
1. Aapko dekhte hi … main jal bin machali, nritya bin bijli ban jata hoon
2. Zindagi nikalti jaati hai aur hum sab pyar ke bina jeena seekh lete hai … kyun pyar ko mauka nahi dete, kyun apno par vishvas nahi karte
3. Itni choti hokar teacher … amazing
4. Nafrat bahut soch samajhkar karni chahiye … kyun ki ek din hum bhi wahi ban jaate hai, jise hum nafrat karte hai
5. Yeh zindagi nafrat ke liye bahut choti hai
Shah Rukh khan Dialogues in – Veer-Zaara
1. Sarhad paar ek aisa shaksh hai … joh aapke liye apni jaan bhi de dega
2. Sachi mohabbat zindagi mein sirf ek baar hoti hai … aur jab hoti hai … toh koi bhagwan yah khuda usse nakamyab nahi hone deta
3. Woh kehte hai yeh tera desh nahi, phir kyun mere desh jaisa lagta hai … woh kehta hai main us jaisa nahi, phir kyun mujh jaisa woh lagta hai
4. Mere desh ki har maa … aap jaisi zaroor hai
5. Woh kehte hai ki woh koi nahi thi, phir kyun mere liye duniya se woh ladti hai … woh kehte hai main us jaisa nahi, phir kyun mujh jaisi woh lagti hai
6. Woh kehte hai mera desh uska nahi, phir kyun mere ghar woh rehti hai … woh kehte hai main us jaisa nahi, phir kyun mujh jaisi woh lagti hai
Shah Rukh khan Dialogues in – Kabhi Alvida Naa Kehna
1. Main tumse maafi maange ka haq toh kho chuka hoon … par tumhe dua dena ka haq nahin khona chahta
2. Sochkar kaun shaadi karta hai?
3. Ajnabiyon ki baat sun leni chahiye … kabhi kabhi ajnabi apno se zyada jaante hain
4. Mohabbat ke zamaane guzar gaye janaab … ab chote mote pyar se hi kaam chala lijiye aap
5. Main kisi se advice nahi leta … lekin doosron ko advice dene ke liye hamesha tayaar rehta hoon
6. Main nakaamyab hoon yeh sach hai …. par jaanti ho, is ghar mein mujhse bhi nakaamyab kya hai? … hamara rishta … hamari shaadi
Shah Rukh khan Dialogues in – Don
1. Kuch kaam aaise hote hai jin mein fayda yah nuksaan nahi dekha jaata … bus unhe karna zaroori hota hai
2. Mera intezaar toh gyarah mulkon ki police kar rahi hai lekin … Don ko pakadna mushkil hi nahin … namumkin hai
3. Don ke dushman ki sabse badi galati yeh hai … ki woh Don ka dushman hai
4. Mujhe do tarah ki ladkiyan pasand nahi aati … ek woh joh mere pass aane mein bahut derr lagaye aur doosri woh joh bahut jaldi aa jaye
5. Mujhe junglee billiyan bahut pasand hai
6. Log Don ko nahi … duniya ko chhodte hai
7. Yeh tum janti ho ki yeh pistol khali hai … main janta hoon ki yeh pistol khali hai lekin … police nahin janti ki yeh pistol khali hai
Shah Rukh khan Dialogues in – Don 2
1. Mujhe andhera pasand hai … tumhare aane waale kal ki yaad dilata hai
2. Isse pehle ki Don ka dushman apni pehli chaal chale … Don apni agli chaal chal chuka hota hai
3. Don apne doston ka haal pooche na pooche … apne dushmano ki khabar hamesha rakhta hai
4. Don ke samne aadmi ke paas sirf do raaste hote hain … maan jaye ya mar jaye … jaisi uski marzi
5. Kisne kaha ki chamatkar nahin hote … zara mujhe kareeb se dekho
6. Don ke dushman ko yeh baat hamesha yaad rakhni chahiye … ki Don kabhi kuch nahin bhoolta
7. Taqt ki parvah badshah se zyada uske vazir ko hoti hai
8. Mujhe logo ka khoon karne ka koi shaunk nahin … wohi mujhe majboor kar dete hain
9. Taqat ek nasha hai … aur main us nasha banane waali factory ka eklauta maalik hoon
10. Don ke dushman … Don ke haathon marne ke liye hi paida hote hai
11. “Sir” … Sir bahut sharif sa lagta hai … call me Don
12. Koi saboot nahin … toh koi guneghaar nahin
12. Don aadmi ka naam bhool sakta hai … lekin ye nahin bhoolega … ki usse dafnaaya kahan hai
13. Mujhe apne aap ko zinda rakhna suit karta hai
14. Mere dushman samajh rahe the main ab kabhi lautke na aaunga … ek gumnaami ka samundar hai, us mein hi jaake doob jaaunga … abhi baaki meri kahani hai, sari duniya ko joh sunaani hai … mujhe pehchano, dekho main hoon kaun … aa raha hoon palat ke main hoon Don, Don, Don
Shah Rukh khan Dialogues in – Chak De! India
1. Peeche se nahi mardo ki tarah aage se ladoo … woh kya hai, hamari hockey mein chakke nahi hote
2. Mujhe states ke naam na sunai dete hai na dikhai dete hai … sirf ek mulk ka naam sunai deta hai I-N-D-I-A
3. Vaar karna hai toh samne waale ke goal par nahi … samnewaale ke dimag par karo … goal khud-ba-khud ho jayega
4. attar minute, sattar minute hai tumhare paas … shayad tumhari zindagi ke sabse khaas sattar minute … aaj tum achcha khelo ya bura, yeh sattar minute tumhe zindagi bhar yaad rahenge … toh kaise khelna hai aaj main tumhe nahi bataonga … bas itna kahoonga ke jao aur yeh sattar minute jee bharkar khel lo … kyun ki iske baad aane waali zindagi mein, chahe kuch sahi ho ya na ho, chahe kuch rahe ya na rahe, tum haaro ya jeeto … lekin yeh sattar minute tumse koi nahi cheen sakta, koi nahi … toh maine socha ki is match mein kaise khelna hai aaj main tumhe nahi bataonga, balki tum mujhe bataoge khel kar … kyun ki main jaanta hoon ki agar yeh sattar minute is team ka har player apni zindagi ki sabse badiya hockey khel gaya … toh yeh sattar minute khuda bhi tumse vapas nahi maang sakta … toh jao, jao aur apne aap se, is zindagi se, apne khuda se aur har us insaan se jisne tumhe tum par bharosa nahi kiya apne sattar minute cheen lo
5. Jo nahin ho sakt … wahi tho karna hai
6. Pehli baar kisi gore ko India ka tiranga leharate hue dekh raha hoon
7. Maine kaha tha na, team banane ke liye taakat nahi … niyat chahiye
8. Har team mein sirf ek hi gunda ho saktha hai … aur is team ka gunda mein hoon
9. Is team ko sirf woh players chaiye jo pehle India ke liye khel rahe hain, India … phir apni team mein apne saathiyon ke liye … aur uske baad bhi agar thodi bahut jaan bach jaye toh apne liye … state government ki naukri ya railway flat ke liye nahin
10. Marr ke aayenge … lekin haar ke nahi aayenge
Shah Rukh khan Dialogues in – Om Shanti Om
1. Kehte hain agar kisi cheez ko dil se chaho … to puri kainaat usse tumse milane ki koshish mein lag jaati hai
2. Itni shiddat se maine tumhe paane ki koshish ki hai … ki har zarre ne mujhe tumse milane ki saazish ki hai
3. Picture abhi baaki hai mere dost
4. Hamari filmo ki tarah, hamari zindagi mein bhi end tak sab kuch thik hi ho jaata hai … happy’s ending
5. You shot gun, me quick gun Murugun … ati-pati-kati yenna rascala tu dai … Mind It!
Shah Rukh khan Dialogues in – Rab Ne Bana Di Jodi
1. Sorry ji, galat ungli ho gayi
2. Hello dear, never fear … Raj is here
Shah Rukh khan Dialogues in – My Name Is Khan
1. Mujhe darr toh bahut si cheezon se lagta hai … par sabse zyada darr tumhe kho dene ke khayal se lagta hai
2. Kuch khaas awaazon se dil ki dhadkane tezz ho jaati hai
3. My name is Khan, and I’m not a terrorist
4. Namaaz jagah aur logon se nahi … neeyat se padhi jaati hai
5. Ho sakta hai aap logon ko main thoda sa alag lagon … iska yeh matlab nahi ki main pagal hoon … main bahut intelligent hoon … very smart
Shah Rukh khan Dialogues in – Chamatkar
1. Prem ki koi seema nahi hoti aur naa hi uska koi wazan hota hai … prem ka koi hisaab kitaab nahi hota … is liye toh kehte hai ki prem hi ishwar hai aur ishwar hi prem
Shah Rukh khan Dialogues in – Dil Aashna Hai
1. Haar tab hoti hai jab haar maan li jaye
2. Dalle aur pille ke saath ek jaisa suluk karna chahiye … agar baat se na maane, toh laat maarni chahiye
3. Aisa hamesha zaroori nahi hai ki jis raaste par maa baap chale … ussi raaste par aulad bhi chale
4. Ladki aisi honi chahiye … thodi si namkeen, thodi si khatti, thodi si meethi … rang aisa ki chandni ki ujaale mein jaise thoda sa shaam ka andhera shamil ho
5. Pyar bheek se nahi milta
Shah Rukh khan Dialogues in – Raju Ban Gaya Gentleman
1. Degree se sirf certificate milta hai … akal nahi
2. Saatve asmaan ko choone ki koshish karte karte … yeh main pataal mein pahunch gaya hoon
3. Agar main chota kaam karoonga na … toh chota hi ban kar reh jaonga
4. Assi tussi piyange lassi
Shah Rukh khan Dialogues in – Baazigar
1. Kabhi kabhi jeetne ke liye kuch haarna bhi padta hai … aur haar kar jeetne waale ko baazigar kehte hai
2. Udne ki baat parinde karte hai … tutte huye par nahi
3. Ab sailaab aayega Madan Chopra … sailaab aayega
4. Burai milne mein nahi hai … burai chup chupkar milne mein hai
5. Kitaabein mehbooba se behtar hoti hai … atleast intezaar toh nahi karwarti
6. Tumhari haalat ek us aphahij jaisi ho gayi hai … jisse chalne ke liye baisaakhi ki zaroorat toh hai … lekin usse pakadne ke liye haath nahi hai
Tune mujhe power of attorney nahi … apni taqdeer ka woh kohra panna de diya hai … jis par main jab chahoon teri 7. barbadi ka ithihaas likh sakta hoon
Shah Rukh khan Dialogues in – Darr
1. I love you KKKKK … Kiran
2. Naam loonga toh woh badnaam ho jayegi
3. Sachchi mohabbat ko pechaanne ke liye aankhon ki nahi … dil ki zaroorat hoti hai
4. Joh taar se nikli hai, woh dhun sabne suni hai … joh saans pe ghuzri hai, woh kis dil ko pata hai
5. Pardes mein agar apne saath ho na … toh desh ban jaata hai … varna desh bhi pardes lagta hai
6. Uski yaad ek amanat hai … ek bahut hi haseen, bahut hi pyari, bahut hi keemti amanat hai
Shah Rukh khan Dialogues in – Anjaam
1. Joh cheez mujhe nahi milti … main usse barbaad kar deta hoon
2. Main joh bhi kaam karta hoon … apni sharton pe hi karta hoon
Shah Rukh khan Dialogues in – Karan Arjun
1. Pyar mein jab tak maut se na khelo … milne waali zindagi ka mazaa nahi aata
2. Kiss gaalon pe nahi … hoton pe kiya jata hai
3. Daayan haath jeb mein rakh lo seth … varna zindagi bhar aapko baayen haath se khana, khana padega
4. Ghode par bahetkar jaan ki baazi lagane mein woh maaza nahi … joh chahat ke maidan mein dil ki baazi laga dene mein hai
Shah Rukh khan Dialogues in – Zamaana Deewana
1. Tumhare pyar mein dil bekarar kab se hai … ab aa bhi jaao, mujhe intezar kab se hai
2. Aap kamai mein joh maza hai na … woh maza na baap kamai mein hai, na paap kamai mein hai
3. Apni halat bayaan karoon kaise … yaad ka saanp dil ko dasta hai … aahatein goonjti hai kaano mein … meri aankhon mein koi basta hai … main tumhe dhoondne kahan jaaon … koi manzil na koi rasta hai … meri baahein tumhari manzil hai … dil musafir hai, pyar rasta hai … waqt aankhon mein tham gaya jaise … ek paal ek saal lagta hai … mere khwaabon ki saans toot na jaaye … aa bhi jaao ki aas toot na jaaye
4. Main jab naachta hoon na … toh pair floor par nahi, haseeno ke dil par padte hai
Shah Rukh khan Dialogues in – Dilwale Dulhania Le Jayenge
1. Bade bade deshon mein aaisi choti choti baatein … hoti rehti hai
2. Tumhari jaisi ladki ke saath, mere jaise ladke ka hona … bahut zaroori hai
3. Agar yeh tujhe pyar karti hai toh yeh palat ke dekhegi … palat … palat!
4. Agar tum galat raaste par chaloge … toh ho sakta hai shuruvat mein tumhe bahut kamyabi mile, bahut khushiya mile … magar anth mein tumhari haar hogi … aur agar sahi raaste par chaloge … toh bhale hi shuruvat mein tumhe kadam kadam par thokarein mile, musibaton ka samna karna pade, pareshani ho … magar anth mein hamesha jeet hogi
5. Toh kya hua agar maine jhoot sirf tumhe paane ke liye kaha tha … toh kya hua agar tumhare chehre ke sivah mujhe koi aur chehra dikhai nahi deta … toh kya hua agar tumhare naam ke sivah mujhe koi aur naam yaad nahi rehta … toh kya hua agar yeh awara tumhe deewano ki tarah pyar karta hai … toh kya hua … pyar sab kuch toh nahi hota na
6. Joh shaadi waale ghar mein seva karta hai … usko bahut sundar dulhan milti hai
7. Main ek Hindustani hoon … aur main jaanta hoon ki ek Hindustani ladki ki izzat kya hoti hai
8. Koi bhi ullu ka patha sirf ek angoothi pehanakar tumko mujhse nahi cheen sakta … tum meri ho, sirf meri
9. Ek pal mein beta bana liya … aur doosre hi pal mein paraya kar diya
Shah Rukh khan Dialogues in – Dushman Duniya Ka
1. Jab insaan nasha karko haivaan ban jaata … toh haivaan nasha karko shaitaan hi banega na
Shah Rukh khan Dialogues in – Koyla
1. Main inteqam ka ek aaisa dahekta hua koyla hoon … jiski uthti hui aag ki lapton mein tum sabki zindagiyan aa chuki hai … aur is jalte hue koyle ki aag mein tum sab bari-bari jalkar raakh ho jaoge
2. Main teri ek ek saans maut ke bazaar mein bechkar aaya hoon
3. Do kadam kya, sau kadam peeche hatt ja … lekin aaj na tu apni maut se peecha chhuda sakta hai … na maut ke saaye se
Shah Rukh khan Dialogues in – Dil To Pagal Hai
1. Kehdo ki tumhe nahi lagta ki hum dono ek doosre ke liye bane hai … kehdo ki jab main tumse door jata hoon, tum mujhe palat kar nahi dekhti … kehdo ki jab main tumhe choota hoon, tumhe kuch nahi hota … kehdo ki is waqt tum meri baahon mein nahi aana chahti … ek baar meri aankhon mein dekho aur aakhri baar kehdo ki tum mujhse pyar nahi karti
2. Woh hai sabse bura … woh hum insaano ke saath ajeeb tarah ke khel khelta hai … woh ek ko doosre se pyar karwata hai, toh doosre ko teesre se, aur teesre ko kisi aur se
3. Rahul, naam toh suna hoga?
4. Rahul, naam toh yaad rahega na?
5. Kya tumne kabhi bhi … ek din ke liye bhi … ek pal ke liye bhi … mujhse pyar kiya tha?
6. Main kisi ladki wadki se pyar nahi karta … sirf ladkiya mujhse pyar karti hai
Shah Rukh khan Dialogues in – Kuch Kuch Hota Hai
1. Pyar dosti hai … agar woh meri sab se achchi dost nahin ban sakti, to main usse kabhi pyar kar hi nahi sakta … kyun ki dosti bina toh pyar hota hi nahin … simple, pyar dosti hai
2. Hum ek baar jeete hai, ek baar marte hai, shaadi bhi ek baar hoti hai … aur pyar ek baar hi hota hai
3. Jabse tumne pyar ko samjha hai, pyar ko jana hai … sirf us hi se pyar kiya hai
4. Main ladkiyon ke peeche nahi bhaagta … ladkiya mere peeche bhaagti hai
5. Kuch kuch hota hai Anjali, tum nahi samjhogi